ġham  duniyā  ke  yaad  jab  aa.eñ  us  kī  yaad  bhī  aane  do
ik  nashshe  meñ  aur  ik  nashsha  ai  yaaro  mil  jaane  do
āḳhir  ham  ko  apne  haal  pe  ḳhud  ronā  ḳhud  hañsnā  hai
yaaro  ab  kuchh  der  to  Thahro  thoḌī  taab  to  laane  do
murjhāne  se  pahle  dil  ko  ek  hañsī  kī  hasrat  kyuuñ
band  kalī  ko  kuchh  bhī  nahīñ  to  ek  tabassum  paane  do
kis  anmol  pashemānī  kī  daulat  hai  in  ā.ankhoñ  meñ
palkoñ  par  do  aañsū  jhamkeñ  motī  ke  se  daane  do
us  dilbar  ko  pyaas  hamārī  kuchh  taskīn  to  detī  hai
jis  ne  ham  par  khol  diye  haiñ  ā.ankhoñ  ke  mai-ḳhāne  do
ham  bhī  apnā  hosh  gañvā  kar  sab  ke  jaise  ho  jaa.eñ
khul  hī  ga.ī  hai  jab  botal  to  bhar  ke  do  paimāne  do