Fay Seen Ejaz

aankh aur nind ke rishte mujhe wapas kar de

Fay Seen Ejaz

Delhi, India

1948

aañkh aur niiñd ke rishte mujhe vāpas kar de

mere ḳhvāboñ ke jazīre mujhe vāpas kar de

tujh ko manzūr nahīñ mujh ko hai ab bhī manzūr

merī qurbat mire bose mujhe vāpas kar de

apne māthe ke chamakte hue sūraj qasam

merī ā.ankhoñ ke savere mujhe vāpas kar de

zindagī sāya-e-gesū se nikal kar chup hai

merī zanjīr ke halqe mujhe vāpas kar de

na to parde haiñ, na gul-dān, na fānūs koī

ghar ke ḳhush-rañg salīqe mujhe vāpas kar de

putliyāñ hiltī thiiñ jāpān guḌiyā tarah

ḳhvāb ā.ankhoñ ke darīche mujhe vāpas kar de

ek maḳhlūq ko jhuknā thā mire qadmoñ par

mere mahkūm farishte mujhe vāpas kar de

merī qadreñ mire maazī vo sachchī qadreñ

merī tahzīb ke rishte mujhe vāpas kar de

merā chehra mirī qāmat mirī azmat ke nishāñ

merī tārīḳh ke safhe mujhe vāpas kar de

bech dene pe bhī ghar lauT kar aa jaate the

vo vafādār parinde mujhe vāpas kar de

aa paḌī aisī zarūrat ki lahū jā.ūñ

ab mire ḳhuun ke rishte mujhe vāpas kar de

kis liye chhīn rahā hai mire ghar sukūñ

mere bachchoñ ke khilaune mujhe vāpas kar de

kaun kahtā hai ki jaane de mirī laash ko ghar

bas mire ḳhuun ke kapḌe mujhe vāpas kar de

mil rahī hai mujhe nā-karda gunāhoñ sazā

mere mālik mire sajde mujhe vāpas kar de

muntashir haiñ mirī bheḌeñ unheñ yakjā kar luuñ

mere rūhānī vasīle mujhe vāpas kar de

idhar, sāmne laa, TuuTī huī kashtī ko

maiñ salāmat huuñ vo taḳhte mujhe vāpas kar de

jinheñ bech ke ḳhush-hāl nahīñ hotā hai

qissa-go aise latīfe mujhe vāpas kar de

khel phir in ke binā khel na rah pā.egā

zid na kar taash ke patte mujhe vāpas kar de

Top Urdushayar.com