Sahar Ansari

ab yahi ranj-e-be-dili mujhko miTae ya banae

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939
ab yahī rañj-e-be-dilī mujh ko miTā.e yā banā.e
laakh vo mehrbāñ sahī us kī taraf bhī kaun jaa.e
rūThe hue vajūd bhī dard-e-anā se kam nahīñ
kyuuñ maiñ kisī ke naaz uThā.ūñ mujh ko bhī koī kyuuñ manā.e
sāya-e-qurb meñ mileñ aa vahī donoñ vaqt phir
hoñT pe sub.h jagmagā.e aañkh meñ shaam muskurā.e
din ko dayār-e-dīd meñ vus.at-e-lams se gurez
shab ko hisār-e-chashm meñ ḳhud hī misl-e-ḳhvāb aa.e
ḳhatm haiñ vāqi.āt bhī ziist kī vārdāt bhī
ab vo jhukī jhukī nazar ḳhud koī dāstāñ sunā.e
mūnis-e-ḳhalvat-e-vafā aaj bhī hai vo dil ki jo
sham.a kī lau meñ thartharā.e chāñd ke saath Duub jaa.e
maut ke ba.ad ziist kī bahs meñ mubtalā the log
ham to 'sahar' guzar ga.e tohmat-e-zindagī uThā.e
Top Urdushayar.com