Sahar Ansari

na kisi se karam ki ummid rakhen na kisi ke sitam ka KHayal karen

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939
na kisī se karam kī ummīd rakheñ na kisī ke sitam kā ḳhayāl kareñ
hameñ kaun se rañj mile haiñ na.e ki jo dil ke ziyāñ kā malāl kareñ
abhī sirf ḳhayāl hai ḳhvāb-numā abhī sarf-e-nazar hai sarāb-numā
zarā aur ḳharāb ho vaz-e-junūñ to vo zahmat-e-pursish-e-hāl kareñ
vahī shahr hai shahr ke log vahī ġham-e-ḳhanda o sañg o salīb vahī
yahāñ aa.e haiñ kaun se aise saḳhī ki jo lutf-e-suḳhan kā savāl kareñ
sune kaun ye ta.ana-e-chāra-garī sahe kaun ye dāġh-e-kamāl-e-rafū
chalo dard-e-vajūd jagā.eñ sahar chalo zaḳhm-e-hayāt bahāl kareñ
Top Urdushayar.com