Sahar Ansari

saza baghair adalat se main nahin aaya

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939

sazā baġhair adālat se maiñ nahīñ aayā

ki baaz jurm-e-sadāqat se maiñ nahīñ aayā

fasīl-e-shahr meñ paidā kiyā hai dar maiñ ne

kisī bhī bāb-e-ri.āyat se maiñ nahīñ aayā

uḌā ke laa.ī hai shāyad ḳhayāl ḳhushbū

tumhārī samt zarūrat se maiñ nahīñ aayā

tire qarīb bhī yaad aa rahe haiñ kār-e-jahāñ

bahut qalaq hai ki fursat se maiñ nahīñ aayā

guzar ga.e yuuñ do chaar din aur is ke ba.ad

yahī huā ki nadāmat se maiñ nahīñ aayā

hamesha saath rahā hai 'sahar' merā sūraj

guzar ke vādī-e-zulmat se maiñ nahīñ aayā

Top Urdushayar.com