marhale  ziist  ke  dushvār  abhī  ho  jaa.eñ
taaki  ham  jiine  ko  tayyār  abhī  ho  jaa.eñ
ye  jo  kuchh  log  mire  chār-taraf  haiñ  har-vaqt
yaar  ho  jaa.eñ  ki  aġhyār  abhī  ho  jaa.eñ
jis  kī  ta.abīr  hai  ik  ḳhvāb  meñ  chalte  rahnā
kyuuñ  na  us  ḳhvāb  se  bedār  abhī  ho  jaa.eñ
jaane  phir  koī  zarūrat  bhī  rahe  yā  na  rahe
jin  ko  honā  hai  vo  ġham-ḳhvār  abhī  ho  jaa.eñ
koī  tasvīr  sajā  legā  to  koī  tahrīr
kyuuñ  na  ham  naqsh-ba-dīvār  abhī  ho  jaa.eñ
zindagī  ḳhud  ko  bachānā  hai  ki  jaañ  denā  hai
faisle  ye  bhī  haiñ  ki  vaar  abhī  ho  jaa.eñ
ek  lamhe  meñ  badal  sakte  haiñ  hālāt  'sahar'
aap  agar  shāmil-e-darbār  abhī  ho  jaa.eñ