Sahar Ansari

humne aadab-e-gham ka pas kiya

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939
ham ne ādāb-e-ġham kā paas kiyā
naqd-e-jāñ ko ziyāñ qayās kyā
ziist ke tajrabāt kā ham ne
misl-e-ā.īna in.ikās kiyā
ḳhabar-e-āgahī ke parde meñ
umr bhar mātam-e-havās kiyā
tohmat-e-sho.ala-zabāñ le kar
sūrat-e-zaḳhm iltimās kiyā
kaise ik lafz meñ bayāñ kar duuñ
dil ko kis baat ne udaas kiyā
aa gayā jab salīqa-e-ta.mīr
qasr-e-hastī ko be-asās kyā
kyuuñ 'sahar' tum ne apne sahrā ko
mauj-e-dariyā se rū-shanās kiyā
Top Urdushayar.com