Sahar Ansari

raston mein ek nagar aabaad hai

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939
rāstoñ meñ ik nagar ābād hai
is tasavvur hī se ghar ābād hai
kaisī kaisī sūrateñ gum ho ga.iiñ
dil kisī sūrat magar ābād hai
kaisī kaisī mahfileñ suunī huiiñ
phir bhī duniyā kis qadar ābād hai
zindagī pāgal havā ke saath saath
misl-e-ḳhāk-e-rahguzar ābād hai
dasht-o-sahrā ho chuke qadmoñ kī gard
shahr ab tak dosh par ābād hai
be-ḳhudī rusvā to kyā kartī mujhe
mujh meñ koī be-ḳhabar ābād hai
dhuup bhī sañvlā ga.ī hai jis jagah
us ḳharābe meñ sahar ābād hai
Top Urdushayar.com