Sahar Ansari

raston mein ek nagar aabaad hai

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939

rāstoñ meñ ik nagar ābād hai

is tasavvur se ghar ābād hai

kaisī kaisī sūrateñ gum ho ga.iiñ

dil kisī sūrat magar ābād hai

kaisī kaisī mahfileñ suunī huiiñ

phir bhī duniyā kis qadar ābād hai

zindagī pāgal havā ke saath saath

misl-e-ḳhāk-e-rahguzar ābād hai

dasht-o-sahrā ho chuke qadmoñ gard

shahr ab tak dosh par ābād hai

be-ḳhudī rusvā to kyā kartī mujhe

mujh meñ koī be-ḳhabar ābād hai

dhuup bhī sañvlā ga.ī hai jis jagah

us ḳharābe meñ sahar ābād hai

Top Urdushayar.com