ye  dard-e-hijr  aur  is  par  sahar  nahīñ  hotī
kahīñ  idhar  kī  to  duniyā  udhar  nahīñ  hotī
na  ho  rihā.ī  qafas  se  agar  nahīñ  hotī
nigāh-e-shauq  to  be-bāl-o-par  nahīñ  hotī
satā.e  jaao  nahīñ  koī  pūchhne  vaalā
miTā.e  jaao  kisī  ko  ḳhabar  nahīñ  hotī
nigāh-e-barq  alāva  mire  nasheman  ke
chaman  kī  aur  kisī  shāḳh  par  nahīñ  hotī
qafas  meñ  ḳhauf  hai  sayyād  kā  na  barq  kā  Dar
kabhī  ye  baat  nasīb  apne  ghar  nahīñ  hotī
manāne  aa.e  ho  duniyā  meñ  jab  se  ruuTh  gayā
ye  aisī  baat  hai  jo  darguzar  nahīñ  hotī
phiruñgā  hashr  meñ  kis  kis  se  pūchhtā  tum  ko
vahāñ  kisī  ko  kisī  kī  ḳhabar  nahīñ  hotī
kisī  ġharīb  ke  naale  haiñ  aap  kyuuñ  chauñke
huzūr  shab  ko  azān-e-sahar  nahīñ  hotī
ye  maanā  aap  qasam  khā  rahe  haiñ  va.adoñ  par
dil-e-hazīñ  ko  tasallī  magar  nahīñ  hotī
tumhīñ  duā.eñ  karo  kuchh  marīz-e-ġham  ke  liye
ki  ab  kisī  kī  duā  kārgar  nahīñ  hotī
bas  aaj  raat  ko  tīmārdār  so  jaa.eñ
marīz  ab  na  kahegā  sahar  nahīñ  hotī
'qamar'  ye  shām-e-firāq  aur  iztirāb-e-sahar
abhī  to  chār-pahar  tak  sahar  nahīñ  hotī