jis  ko  lagtā  hai  gum-shuda  huuñ  maiñ
jaan  le  mujh  ko  zalzala  huuñ  meñ
maiñ  bachātī  huuñ  bad-duāoñ  se
maañ  kī  bhejī  huī  duā  huuñ  maiñ
kho  gayā  jo  ghane  añdheroñ  meñ
us  ujāle  kā  rāsta  huuñ  maiñ
mujh  ko  pahchān  mere  naaz  uThā
terā  apnoñ  se  rābta  huuñ  maiñ
nafratoñ  ne  diye  haiñ  jo  tum  ko
aise  har  dard  kī  davā  huuñ  maiñ
vaqt  se  haar  kar  na  baiTh  mujhe
phir  bulā  le  tirī  adā  huuñ  maiñ
maiñ  sukūñ  huuñ  ḳhushī  bhī  huuñ  'sarhad'
kaun  kahtā  hai  ġham-zada  huuñ  maiñ