Faiz Ahmad Faiz

yaad-e-ghazal-chashman zikr-e-saman-azaran

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
yād-e-ġhazāl-chashmāñ zikr-e-saman-azārāñ
jab chāhā kar liyā hai kunj-e-qafas bahārāñ
āñkhoñ meñ dard-mandī hoñToñ pe uzr-ḳhvāhī
jānāna vaar aa.ī shām-e-firāqyāra
nāmūs-e-jān-o-dil kī baazī lagī thī varna
āsāñ na thī kuchh aisī rāh-e-vafā-shi.ārāñ
mujrim ho ḳhvāh koī rahtā hai nāsehoñ kā
rū-e-suḳhan hamesha sū-e-jigar-figārāñ
hai ab bhī vaqt zāhid tarmīm-e-zuhd kar le
sū-e-haram chalā hai amboh-e-bāda-ḳhvārāñ
shāyad qarīb pahuñchī sub.h-e-visāl hamdam
mauj-e-sabā liye hai ḳhush-bū-e-ḳhush-kinārāñ
hai apnī kisht-e-vīrāñ sarsabz is yaqīñ se
ā.eñge is taraf bhī ik roz abr-o-bārāñ
aa.egī 'faiz' ik din bād-e-bahār le kar
taslīm-e-mai-faroshāñ paiġhām-e-mai-gusārāñ
Top Urdushayar.com