Faiz Ahmad Faiz

kis harf pe tu ne gosha-e-lab ai jaan-e-jahan ghammaz kiya

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
kis harf pe tū ne gosha-e-lab ai jān-e-jahāñ ġhammāz kiyā
elān-e-junūñ dil vāloñ ne ab ke ba-hazār-andāz kiyā
sau paikāñ the paivast-e-gulū jab chheḌī shauq kī lai ham ne
so tiir tarāzū the dil meñ jab ham ne raqs āġhāz kiyā
be-hirs-o-havā be-ḳhauf-o-ḳhatar is haath pe sar is kaf pe jigar
yuuñ kū-e-sanam meñ vaqt-e-safar nazzāra-e-bām-e-nāz kiyā
jis ḳhaak meñ mil kar ḳhaak hue vo surma-e-chashm-e-ḳhalq banī
jis ḳhaar pe ham ne ḳhuuñ chhiḌkā ham-rañg-e-gul-e-tannāz kiyā
lo vasl kī saa.at aa pahuñchī phir hukm-e-huzūrī par ham ne
āñkhoñ ke darīche band kiye aur siine kā dar baaz kiyā
Top Urdushayar.com