Faiz Ahmad Faiz

sitam ki rasMein bahut thin lekin na thi teri anjuman se pahle

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
sitam kī rasmeñ bahut thiiñ lekin na thī tirī anjuman se pahle
sazā ḳhatā-e-nazar se pahle itaab jurm-e-suḳhan se pahle
jo chal sako to chalo ki rāh-e-vafā bahut muḳhtasar huī hai
maqām hai ab koī na manzil farāz-e-dār-o-rasan se pahle
nahīñ rahī ab junūñ kī zanjīr par vo pahlī ijāra-dārī
giraft karte haiñ karne vaale ḳhirad pe dīvāna-pan se pahle
kare koī teġh kā nazārā ab un ko ye bhī nahīñ gavārā
ba-zid hai qātil ki jān-e-bismil figār ho jism o tan se pahle
ġhurūr-e-sarv-o-saman se kah do ki phir vahī tājdār hoñge
jo ḳhār-o-ḳhas vālī-e-chaman the urūj-e-sarv-o-suman se pahle
idhar taqāze haiñ maslahat ke udhar taqāzā-e-dard-e-dil hai
zabāñ sambhāleñ ki dil sambhāleñ asiir zikr-e-vatan se pahle
Top Urdushayar.com