Faiz Ahmad Faiz

kab yaad mein tera sath nahin kab hat mein tera hat nahin

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
kab yaad meñ terā saath nahīñ kab haat meñ terā haat nahīñ
sad-shukr ki apnī rātoñ meñ ab hijr kī koī raat nahīñ
mushkil haiñ agar hālāt vahāñ dil bech aa.eñ jaañ de aa.eñ
dil vaalo kūcha-e-jānāñ meñ kyā aise bhī hālāt nahīñ
jis dhaj se koī maqtal meñ gayā vo shaan salāmat rahtī hai
ye jaan to aanī jaanī hai is jaañ kī to koī baat nahīñ
maidān-e-vafā darbār nahīñ yaañ nām-o-nasab kī pūchh kahāñ
āshiq to kisī kā naam nahīñ kuchh ishq kisī kī zaat nahīñ
gar baazī ishq kī baazī hai jo chāho lagā do Dar kaisā
gar jiit ga.e to kyā kahnā haare bhī to baazī maat nahīñ
Top Urdushayar.com