Faiz Ahmad Faiz

kab yaad mein tera sath nahin kab hat mein tera hat nahin

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984

kab yaad meñ terā saath nahīñ kab haat meñ terā haat nahīñ

sad-shukr ki apnī rātoñ meñ ab hijr koī raat nahīñ

mushkil haiñ agar hālāt vahāñ dil bech aa.eñ jaañ de aa.eñ

dil vaalo kūcha-e-jānāñ meñ kyā aise bhī hālāt nahīñ

jis dhaj se koī maqtal meñ gayā vo shaan salāmat rahtī hai

ye jaan to aanī jaanī hai is jaañ to koī baat nahīñ

maidān-e-vafā darbār nahīñ yaañ nām-o-nasab pūchh kahāñ

āshiq to kisī naam nahīñ kuchh ishq kisī zaat nahīñ

gar baazī ishq baazī hai jo chāho lagā do Dar kaisā

gar jiit ga.e to kyā kahnā haare bhī to baazī maat nahīñ

Top Urdushayar.com