kuchh  din  se  intizār-e-savāl-e-digar  meñ  hai
vo  muzmahil  hayā  jo  kisī  kī  nazar  meñ  hai
sīkhī  yahīñ  mire  dil-e-kāfir  ne  bandagī
rabb-e-karīm  hai  tū  tirī  rahguzar  meñ  hai
maazī  meñ  jo  mazā  mirī  shām-o-sahar  meñ  thā
ab  vo  faqat  tasavvur-e-shām-o-sahar  meñ  hai
kyā  jaane  kis  ko  kis  se  hai  ab  daad  kī  talab
vo  ġham  jo  mere  dil  meñ  hai  terī  nazar  meñ  hai