Faiz Ahmad Faiz

rang pairahan ka KHushbu zulf lahrane ka nam

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984

rañg pairāhan ḳhushbū zulf lahrāne naam

mausam-e-gul hai tumhāre baam par aane naam

dosto us chashm o lab kuchh kaho jis ke baġhair

gulsitāñ baat rañgīñ hai na mai-ḳhāne naam

phir nazar meñ phuul mahke dil meñ phir sham.eñ jalīñ

phir tasavvur ne liyā us bazm meñ jaane naam

dilbarī Thahrā zabān-e-ḳhalq khulvāne naam

ab nahīñ lete parī-rū zulf bikhrāne naam

ab kisī lailā ko bhī iqrār-e-mahbūbī nahīñ

in dinoñ badnām hai har ek dīvāne naam

mohtasib ḳhair ūñchā hai usī ke faiz se

rind saaqī mai ḳhum paimāne naam

ham se kahte haiñ chaman vaale ġharībān-e-chaman

tum koī achchhā rakh lo apne vīrāne naam

'faiz' un ko hai taqāzā-e-vafā ham se jinheñ

āshnā ke naam se pyārā hai begāne naam

Top Urdushayar.com