Faiz Ahmad Faiz

jaise ham-bazm hain phir yar-e-tarah-dar se hum

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
jaise ham-bazm haiñ phir yār-e-tarah-dār se ham
raat milte rahe apne dar-o-dīvār se ham
sarḳhushī meñ yūñhī dil-shād o ġhazal-ḳhvāñ guzre
kū-e-qātil se kabhī kūcha-e-dildār se ham
kabhī manzil kabhī raste ne hameñ saath diyā
har qadam uljhe rahe qāfila-sālār se ham
ham se be-bahra huī ab jaras-e-gul kī sadā
varna vāqif the har ik rañg kī jhankār se ham
'faiz' jab chāhā jo kuchh chāhā sadā maañg liyā
haath phailā ke dil-e-be-zar-o-dīnār se ham
Top Urdushayar.com