Faiz Ahmad Faiz

kuchh pahle in aankhon aage kya kya na nazara guzre tha

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
kuchh pahle in āñkhoñ aage kyā kyā na nazārā guzre thā
kyā raushan ho jaatī thī galī jab yaar hamārā guzre thā
the kitne achchhe log ki jin ko apne ġham se fursat thī
sab pūchheñ the ahvāl jo koī dard kā maarā guzre thā
ab ke ḳhizāñ aisī Thahrī vo saare zamāne bhuul ga.e
jab mausam-e-gul har phere meñ aa aa ke dobārā guzre thā
thī yāroñ kī bohtāt to ham aġhyār se bhī bezār na the
jab mil baiThe to dushman kā bhī saath gavārā guzre thā
ab to haath sujhā.ī na deve lekin ab se pahle to
aañkh uThte hī ek nazar meñ aalam saarā guzre thā
Top Urdushayar.com