Faiz Ahmad Faiz

subh ki aaj jo rangat hai wo pahle to na thi

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
sub.h kī aaj jo rañgat hai vo pahle to na thī
kyā ḳhabar aaj ḳhirāmāñ sar-e-gulzār hai kaun
shaam gulnār huī jaatī hai dekho to sahī
ye jo niklā hai liye mish.al-e-ruḳhsār hai kaun
raat mahkī huī aa.ī hai kahīñ se pūchho
aaj bikhrā.e hue zulf-e-trah-dār hai kaun
phir dar-e-dil pe koī dene lagā hai dastak
jāniye phir dil-e-vahshī kā talabgār hai kaun
Top Urdushayar.com