maiñ use apne muqābil dekh kar ghabrā gayā
ik sarāpā mujh ko zanjīreñ na.ī pahnā gayā
maiñ to jal kar bujh chukā thā ik khañDar kī god meñ
vo na jaane kyuuñ mujhe hañstā huā yaad aa gayā
maiñ zamīñ kī vus.atoñ meñ sar se pā tak ġharq thā
vo nazar ke sāmne ik āsmāñ phailā gayā
soch ke dhāgoñ meñ lipTā merā apnā jism thā
ek lamha mujh ko apnī zaat meñ uljhā gayā
maiñ to shāyad vaqt ke sāñche meñ Dhal jaatā 'nisār'
koī mujh ko māvarā kī dāstāñ samjhā gayā