Rasheed Nisar

nahin tha zaKHm to aansu koi saja leta

Rasheed Nisar

nahīñ thā zaḳhm to aañsū koī sajā letā
kisī bahāne ġham-e-ābrū bachā letā
ḳhabar na thī ki siyāhī kā jaal phailegā
lahū kī aag sar-e-shām hī jalā letā
zabāñ pe harf bhī aayā junūñ kā patthar bhī
maiñ be-libās thā kis kis kā aasrā letā
jagā diyā thā dukhoñ ke julūs ne varna
maiñ aaj dāman-e-shab-tāb se havā letā
palaT gayā koī lamha ThiThak ga.e haiñ qadam
koī jo saath nibhātā mirī duā letā
ye kal kī baat nahīñ aaj kī kahānī hai
vo aaj zaḳhm na hotā to maiñ chhupā letā
na jaane kaun sī manzil mirā makāñ hotī
ki maiñ vajūd kī gaThrī agar uThā letā
Top Urdushayar.com