Saleem Shahzad

nahin hai koi dusra manzar chaaron or

Saleem Shahzad

Dhule, Maharashtra, India

1949
nahīñ hai koī dūsrā manzar chāroñ or
phailā hai tārīk samundar chāroñ or
zinda huuñ bas ek yahī hai merā jurm
log khaḌe haiñ le kar patthar chāroñ or
kis dariyā ko DhūñDe ye janmoñ kī pyaas
aag lagī hai mere andar chāroñ or
vahm o ḳhirad ke maare haiñ shāyad sab log
dekh rahā huuñ shīshe ke ghar chāroñ or
chhoTe se āñgan meñ hotī hai jo baat
phailā kartī hai vo aksar chāroñ aur
apnī bātoñ par bhī nahīñ aatā hai yaqīñ
ab to yahāñ phirte haiñ payambar chāroñ or
tanhā.ī meñ bhī sahmā sahmā har shaḳhs
ḳhauf ne phailā rakkhe haiñ par chāroñ or
Top Urdushayar.com