rañg  ta.abīr  kā  TuuTe  hue  ḳhvāboñ  meñ  nahīñ
chhāñv  kā  lams  kahīñ  jaise  sarāboñ  meñ  nahīñ
kar  diyā  sāhir-e-tahzīb  ne  patthar  in  ko
chehre  lamhoñ  ke  vo  resham  kī  naqāboñ  meñ  nahīñ
aa  ke  sāhil  pe  havas  ke  na  yuuñ  maujoñ  se  Daro
rañg  gahrā.ī  meñ  pāoge  habāboñ  meñ  nahīñ
añg  añg  us  kā  thā  ik  niile  nashe  meñ  Duubā
abadī  kaif  vo  botal  kī  sharāboñ  meñ  nahīñ
merī  ik  baat  pe  kiiñ  us  ne  hazāroñ  bāteñ
husn-e-maqsūd  magar  us  ke  javāboñ  meñ  nahīñ
ab  to  aaseb  musallat  hai  yahāñ  hasrat  kā
aas  kī  koī  parī  dil  ke  ḳharāboñ  meñ  nahīñ
us  se  Takrā  ke  bikharne  meñ  jo  lazzat  hai  'salīm'
is  qadar  hazz-e-shikast  aur  azāboñ  meñ  nahīñ