kisī  rut  meñ  jab  muskurātā  hai  tū
numū  pattharoñ  meñ  jagātā  hai  tū
tirā  sho.ala-e-nutq  rūh-e-ravāñ
ufuq-tā-ufuq  phail  jaatā  hai  tū
kabhī  kholtā  hai  samundar  ke  raaz
kabhī  ek  qatra  chhupātā  hai  tū
kabhī  ġharq  kar  de  safīne  hazār
kabhī  ek  kashtī  tarātā  hai  tū
kabhī  phūñk  de  vādi-e-gul  tamām
kabhī  aag  meñ  gul  khilātā  hai  tū
kabhī  sharh-e-lā-taqnatū  ke  liye
sarāboñ  meñ  dariyā  bahātā  hai  tū
gavārā  nahīñ  tujh  ko  vīrāniyāñ
ḳharāboñ  ko  phir  se  basātā  hai  tū
siyah  saḳht  maujoñ  ke  aaseb  meñ
jazīre  dhanak  rañg  ugātā  hai  tū
tire  izn  se  andhī  ā.ankhoñ  meñ  nuur
kabhī  ḳhaak  meñ  ram  jagātā  hai  tū
kiran  bhej  kar  ek  zulmāt  kī
shahanshāhoñ  ko  zalzalātā  hai  tū
ujāloñ  meñ  haiñ  terī  rañgīniyāñ
añdheroñ  meñ  sham.eñ  jalātā  hai  tū