Mahender Kumar Sani

wahi udas si aankhen udas chehra hai

Mahender Kumar Sani

Faizabad, Uttar pradesh, India

1984
vahī udaas sī āñkheñ udaas chehra hai
ye lag rahā hai ki pahle bhī tujh ko dekhā hai
maiñ chāhtā huuñ ki terī taraf na dekhūñ maiñ
mirī nazar ko magar tū ne bāñdh rakkhā hai
chhupā ke rakhtā huuñ maiñ ḳhud ko har tarah lekin
ye aa.ina mujhe hairat meñ Daal detā hai
tumhārī baat pe kis ko yaqīn aa.egā
kisī se tum na ye kahnā ḳhudā ko dekhā hai
hazāroñ manzileñ sar kar chukā huuñ maiñ lekin
ye ḳhud se ḳhud kā safar to bahut ajab sā hai
tirā vajūd tire rāste meñ haa.il hai
yahīñ se ho ke mirā qāfila guzartā hai
maiñ din ko shab se bhalā kyuuñ alag karūñ saanī
ye tīrgī bhī to ik raushnī kā hissa hai
Top Urdushayar.com