raat  din  gardish  meñ  haiñ  lekin  paḌā  rahtā  huuñ  maiñ
kaam  kyā  merā  yahāñ  hai  sochtā  rahtā  huuñ  maiñ
bāhar  andar  ke  jahānoñ  se  milā  mujh  ko  farāġh
tīsrī  duniyā  ke  chakkar  kāTtā  rahtā  huuñ  maiñ
ek  be-ḳhaufī  mujhe  le  aa.ī  sāhil  ke  qarīb
aa  ke  ab  nazdīk  sāhil  ke  Darā  rahtā  huuñ  maiñ
jaane  kaisī  raushnī  thī  kar  ga.ī  andhā  mujhe
is  bhayānak  tīrgī  meñ  bhī  bujhā  rahtā  huuñ  maiñ
kar  diyā  kis  ne  mirā  ā.īna-e-dil  gard  gard
aks  huuñ  kis  kā  havā  se  pūchhtā  rahtā  huuñ  maiñ
ek  jañgal  sā  ugā  hai  mere  tan  ke  chāroñ  or
aur  apne  man  ke  andar  zard  sā  rahtā  huuñ  maiñ
ek  nuqte  se  ubhartī  hai  ye  saarī  kā.enāt
ek  nuqte  par  simaTtā  phailtā  rahtā  huuñ  maiñ
raushnī  meñ  lafz  ke  tahlīl  ho  jaane  se  qabl
ik  ḳhalā  paḌtā  hai  jis  meñ  ghūmtā  rahtā  huuñ  maiñ
saañs  kī  lai  par  thiraktī  hai  koī  azlī  tarañg
rañg-e-'sānī'  dekh  kar  hairat-zada  rahtā  huuñ  maiñ