sadā-o-ḳhāmshī  ke  darmiyāñ  Thahartā  hai
tirā  ḳhayāl  suḳhan  meñ  kahāñ  Thahartā  hai
hamārī  qaid  hamāre  isī  ḳhayāl  se  hai
hamāre  rāste  meñ  ik  makāñ  Thahartā  hai
ravish  ravish  jo  hai  paidā  nazar  ke  sāmne  vo
zarā  sā  dekhne  par  sab  nihāñ  Thahartā  hai
agar  vo  vasl  kā  lamha  hameñ  mayassar  ho
to  saarā  ishq  hī  kār-e-ziyāñ  Thahartā  hai
Thahar  ke  dekh  ghaḌī-bhar  ke  vāste  'sānī'
maqām  kyā  hai  jahāñ  ye  jahāñ  Thahartā  hai