use  ham  ne  kabhī  dekhā  nahīñ  hai
vo  ham  se  duur  hai  aisā  nahīñ  hai
yaqīnan  sochtā  hogā  vo  mujh  ko
use  maiñ  ne  abhī  sochā  nahīñ  hai
jidhar  jaatā  huuñ  duniyā  Toktī  hai
idhar  kā  rāsta  terā  nahīñ  hai
safar  āzād  hone  ke  liye  hai
mujhe  manzil  kā  kuchh  dhokā  nahīñ  hai
maiñ  apnī  yātrā  par  jā  rahā  huuñ
mujhe  ab  lauT  kar  aanā  nahīñ  hai
hue  āzād  jab  jaanā  ye  'sānī'
mafar  kā  koī  bhī  rasta  nahīñ  hai