Aziz Hamid Madni

talKH-tar aur zara baada-e-safi saqi

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
talḳh-tar aur zarā bāda-e-sāfī saaqī
mere siine meñ ḳhas-o-ḳhār haiñ kaafī saaqī
zulmat o nuur ko pyāloñ meñ samo detī hai
shaam paḌte hī tirī chashm-e-ġhilāfī saaqī
zahr kā jaam hī de zahr bhī hai āb-e-hayāt
ḳhushk-sālī kī to ho jaa.e talāfī saaqī
nashsha-e-mai se zarā zaḳhm ke Tāñke TuuTe
tā-abad silsila-e-sīna-shigāfī saaqī
zindagānī kā maraz kam nahīñ hone paatā
ye maraz kam na ho allāh hai shāfī saaqī
kaaT dī gardish-e-ayyām kī zanjīr us ne
kaun hai gardish-e-mīnā ke munāfī saaqī
ik kaf-e-jū hai matā-e-ḳhirad o sikka-e-hosh
jām-e-mai de ki ye aalam hai izāfī saaqī
Top Urdushayar.com