mohabbateñ  thiiñ  kuchh  aisī  visāl  ho  ke  rahā
vo  ḳhush-ḳhayāl  mirā  ham-ḳhayāl  ho  ke  rahā
har  ek  parde  meñ  daryāft  us  kā  husn  kiyā
phir  us  ḳhazāne  se  maiñ  mālā-māl  ho  ke  rahā
lahū  kī  lahr  meñ  shādābiyoñ  kī  shiddat  se
mizāj  us  kā  mire  hasb-e-hāl  ho  ke  rahā
karam  kā  silsila  jo  munqat.a  thā  ġhaflat  se
bahāl  kaise  na  hotā  bahāl  ho  ke  rahā
ham  itnā  chāhte  the  ek  dūsre  ko  'zafar'
maiñ  us  kī  aur  vo  merī  misāl  ho  ke  rahā