Aziz Hamid Madni

hikayat-e-husn-e-yar likhna hadis-e-mina-o-jam kahna

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
hikāyat-e-husn-e-yār likhnā hadīs-e-mīnā-o-jām kahnā
abhī vahī kār-e-āshiqāñ hai sukūt-e-ġham kā kalām kahnā
ufuq taġhayyur kī tez lau se pighal rahā hai badal rahā hai
magar is ahvāl-e-vāqa.ī ko likheñ na vo mere naam kahnā
hazār hāthoñ se maiñ ne jis ko sambhāl rakkhā thā zindagī meñ
charāġh-bar-kaf bisāt-e-dil par khaḌī huī hai vo shaam kahnā
agar tirī āstīn-e-tar ko ḳhabar nahīñ dāstān-e-ġham kī
zamāna unvān-e-tāza-tar se sunā gayā nā-tamām kahnā
dhoveñ meñ ik tā.ir-e-navā-gar ne ātish-e-gul pe jaan de dī
rag-e-gulū meñ jalī huī lai chamak ga.ī zer-e-dām kahnā
ham aise jāda-tarāz-e-sahrā nikal hī aate haiñ chand āḳhir
suḳhan ko uslūb-e-zindagī kā diyā hai ham ne hī naam kahnā
kabhī kabhī to lahak sā uThtā hai barq-o-bārāñ kī chashmakoñ meñ
kisī adā-e-visāl-sāmāñ kā ḳhanjar-e-be-niyām kahnā
utar gayā dil meñ zahr-e-kākul nisār ik sarv-e-dil-satāñ ke
fusūn-e-chāra-garī se guzrā mohabbatoñ kā payām kahnā
ḳhayāl-e-yārān-e-kū-ba-kū se nazar hai ik mātam-e-nazāra
dam-e-harīfān-e-be-subū se nafas hai be-nañg-o-nām kahnā
abhī to kuchh log zindagī meñ hazār sāyoñ kā ik shajar haiñ
unhīñ ke sāyoñ meñ qāfile kuchh Thahar ga.e be-qayām kahnā
ḳhudā tujhe āfiyat kī ābādiyoñ meñ nauras safīr rakkhe
udhar ke dīvār-o-dar salāmat mirī taraf se salām kahnā
Top Urdushayar.com