Aziz Hamid Madni

KHatm hui shab-e-wafa KHwab ke silsile gae

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991

ḳhatm huī shab-e-vafā ḳhvāb ke silsile ga.e

jis dar-e-nīm-bāz ke pesh the marhale ga.e

jo rag-e-abr-o-bād se tā-ba-rag-e-junūñ raheñ

ishq vo hikāyateñ husn ke vo gile ga.e

shukr-o-sipās maza de gayā sukūt-e-yār

vasl-o-firāq se alag dard ke hausle ga.e

ik mire ham-kanār mujh se qarīb aa ke raat

ḳhema-e-dard ho ga.ī qurb ke valvale ga.e

dasht meñ qaht-e-āb se hijrat-e-tā.irāñ ke ba.ad

sair-pasand-o-tar-nafas abr ke qāfile ga.e

ai ye fasūn-e-dilbarī tāza-ruḳh-o-siyāh-chashm

manzil-e-qurb bhī ga.ī tujh se na fāsle ga.e

niiñd meñ mahvashān-e-shahr bosa-e-āshiqāñ ḳhair

shab-ba-havā-e-narm-sair sub.h huī sile ga.e

ai ruḳh-e-tāza-jahāñ raat to ab bhī hai garāñ

sham-e-hazār-rañg tak yuuñ tire silsile ga.e

dāman-e-dil oT se ek shab-e-firāq kyā

daur-e-taġhayyur-e-jahāñ sab tire qāfile ga.e

Top Urdushayar.com