Aziz Hamid Madni

ye faza-e-saz-o-muzrib ye hujum-e-taj-e-daran

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
ye fazā-e-saz-o-muzrib ye hujūm-e-tāj-e-dārāñ
chalo aao ham bhī nikleñ ba-libās-e-sogvārāñ
ye fusūn-e-rū-e-lailā ba-azāb-e-jān-e-majnūñ
vahī husn-e-dasht-o-dar hai ba-tavāf-e-jāñ-nisārāñ
ġham-e-kārvāñ kā āḳhir koī ruḳh na us se chhūTā
vo hadīs kah ga.ī hai ye havā-e-rah-guzārāñ
vo ta.assub-e-barhaman jo sanam ko Dhāltā hai
ruḳh-e-naqsh par bhī aayā ye sipās-e-naqsh-e-kārāñ
ba-ḳhayāl-e-dost āḳhir koī ḳhvāb-e-ham-kinārī
koī ḳhvāb-e-ham-kinārī shab-e-ḳhvāb-e-be-qarārāñ
sar-e-kisht-e-ġhair kyā kyā ye ghaTā baras rahī hai
koī ham se aa ke pūchhe asar-e-duā-e-bārāñ
vo shikast-e-ḳhvāb-e-mahfil vo havā ke chaar jhoñke
lagī dil pe tiir ban kar dam-e-sub.h yād-e-yārāñ
Top Urdushayar.com