barā.e naam sahī hāsil-e-talab Thahrā
vo ek lamha jo sarmāya-e-tarab Thahrā
khule saroñ pe ghanī chhāñv le ke aayā thā
hamāre paas vo abr-e-ravāñ bhī kab Thahrā
naqīb-e-amn rahā maiñ mahāz-e-jañg pe bhī
yahī usuul mirī fatah kā sabab Thahrā
kiyā thā jis ko kabhī tere naam se mansūb
vahī sahīfa to sarmāya-e-adab Thahrā
vahī mire liye vaj.h-e-nashāt-e-rūh thā 'nāz'
vo ik tabassum-e-rañgīñ jo zer-e-lab Thahrā