Sarwar Arman

hum to maujud the raaton mein ujalon ki tarah

Sarwar Arman

Narowal, Punjab, Pakistan

1953
ham to maujūd the rātoñ meñ ujāloñ kī tarah
log nikle hī nahīñ DhūñDne vāloñ kī tarah
jaane kyuuñ vaqt bhī āñkheñ bhī qalam bhī lab bhī
aaj ḳhāmosh haiñ guzre hue sāloñ kī tarah
hājateñ ziist ko ghere meñ liye rakhtī haiñ
ḳhasta dīvār se chimTe hue jāloñ kī tarah
raat bhīgī to sisaktī huī ḳhāmoshī se
āsmāñ phuuT paḌā jism ke chhāloñ kī tarah
saarī rāheñ sabhī socheñ sabhī bāteñ sabhī ḳhvāb
kyuuñ haiñ tārīḳh ke be-rabt havāloñ kī tarah
zindagī ḳhushk hai vīrān hai afsurda hai
ek mazdūr ke bikhre hue bāloñ kī tarah
zaḳhm pahne hue ma.asūm bhikārī bachche
safha-e-dahr pe bikhre haiñ savāloñ kī tarah
Top Urdushayar.com