Firdaus Gayavi

umid ki koi chadar to samne aae

Firdaus Gayavi

1954
umiid kī koī chādar to sāmne aa.e
maiñ ruk bhī jā.ūñ tirā ghar to sāmne aa.e
maiñ rāh-e-ishq meñ ḳhud ko fanā bhī kar dūñgā
mare habīb vo manzar to sāmne aa.e
hamāre baazū kā duniyā kamāl dekhegī
adū kā koī bhī lashkar to sāmne aa.e
meñ ehtirām se dastār is ke sar bāñdhūñ
vo fan-shanās suḳhnavar to sāmne aa.e
karūñgā umr bhar us par maiñ pyaar kī bārish
vo ḳhush-jamāl sā paikar to sāmne aa.e
sar-e-niyāz jhukegā ḳhud us ke qadmoñ meñ
vo le ke haath meñ ḳhanjar to sāmne aa.e
meñ ek sañg huuñ mujh meñ haiñ sūrateñ pinhāñ
mujhe tarāshne aazar to sāmne aa.e
fidā-e-ishq huuñ marne kā Dar nahīñ 'firdaus'
mujhe Dubone samundar to sāmne aa.e
Top Urdushayar.com