Sarwar Arman

shab-e-tarik chup thi dar-o-diwar chup the

Sarwar Arman

Narowal, Punjab, Pakistan

1953

shab-e-tārīk chup thī dar-o-dīvār chup the

numūd-e-sub.h-e-nau ke sabhī āsār chup the

tamāshā dekhte the hamāre zabt-e-ġham

musallat ek Dar thā lab-e-iz.hār chup the

havā.eñ chīḳhtī thiiñ fazā.eñ gūñjtī thiiñ

qabīla baT rahā thā magar sardār chup the

girātā kaun baḌh kar bhalā dīvār-e-zulmat

ujāloñ ke payambar pas-e-dīvār chup the

matā-e-ābrū ko bachā sakte the lekin

muhāfiz sar-nigūñ the to pahre-dār chup the

nahīñ hai is se baḌh kar koī tauhīn fan

ḳharīde rahe the magar fankār chup the

zamāna chāhtā thā kahānī tasalsul

magar parde ke pīchhe sabhī kirdār chup the

Top Urdushayar.com