Sarwar Arman

talKHis ke badan mein tafsir bolti hai

Sarwar Arman

Narowal, Punjab, Pakistan

1953
talḳhīs ke badan meñ tafsīr boltī hai
takmīl-e-ārzū meñ tadbīr boltī hai
ye mo.ajiza bhī dekhā ham ne kalām-e-fan kā
chup ho agar musavvir tasvīr boltī hai
taz.īn-e-anjuman ke ham ne jo ḳhvāb dekhe
ab kirchiyoñ meñ un kī ta.abīr boltī hai
vo lab-kushā ho jis dam lagtā hai har kisī ko
har lafz meñ usī kī taqdīr boltī hai
bantā hai muflisoñ kā vo ġham-gusār lekin
andāz-e-guftugū meñ jāgīr boltī hai
jazboñ pe laakh koī pābandiyāñ lagā de
iz.hār meñ unhī kī tāsīr boltī hai
ḳhāmosh haiñ qafas ke dīvār-o-dar to kyā hai
Takrā ke har qadam se zanjīr boltī hai
jab āgahī kā azhdar Dastā hai aadmī ko
mafhūm nāchte haiñ tahrīr boltī hai
Top Urdushayar.com