hai  ajiib  chiiz  ma-e-junūñ  kabhī  dil  kī  pyaas  nahīñ  bujhī
magar  ab  milā  ke  to  dekh  luuñ  zarā  ek  qatra-e-āgahī
mirī  ḳhāmushī  mirī  be-hisī  yahī  merā  rāz-e-fasurdagī
kabhī  so  gayā  huuñ  to  jaag  uThī  hai  ye  dil  kī  choT  dabī  dabī
hai  ye  kaisī  sohbat  mai-kashāñ  ki  har  ek  jaam  lahū  lahū
yahī  dostī  hai  to  ai  ḳhudā  mujhe  raas  aa.e  na  dostī
hai  malūl  mujh  se  duā-e-maut  ki  saath  us  kā  na  de  sakā
mire  rāste  meñ  jo  aa  ga.ī  yahī  zindagī  yahī  zindagī
zarā  aa  ke  sāmne  baiTh  jā  mirī  chashm-e-tar  ke  qarīb  aa
mire  ā.īne  meñ  bhī  dekh  le  kabhī  apnī  zulf  kī  barhamī
yahī  saath  saath  mire  rahā  maiñ  isī  kā  pā  na  sakā  patā
kabhī  har  qadam  pe  mujhe  milā  yahī  aadmī  yahī  aadmī
mire  saath  saath  chale  the  sab  mirā  saath  koī  na  de  sakā
mire  ham-safar  mire  ham-nazar  mirī  ḳhud-sarī  mirī  sar-kashī
mirī  samt  aur  bhī  sāqiyā  vo  jo  buuñd  buuñd  meñ  zahar  thā
jise  aur  koī  na  pī  sakā  vo  sharāb  mere  hī  muñh  lagī
maiñ  shahīd-e-zulmat-e-shab  sahī  mirī  ḳhaak  ko  yahī  justujū
koī  raushnī  koī  raushnī  koī  raushnī  koī  raushnī