us  par  bhī  dushmanoñ  kā  kahīñ  saaya  paḌ  gayā
ġham  sā  purānā  dost  bhī  āḳhir  bichhaḌ  gayā
jī  chāhtā  to  baiThte  yādoñ  kī  chhāñv  meñ
aisā  ghanā  daraḳht  bhī  jaḌ  se  ukhaḌ  gayā
ġhairoñ  ne  mujh  ko  dafn  kiyā  shāh-rāh  par
maiñ  kyuuñ  na  apnī  ḳhaak  meñ  ġhairat  se  gaḌ  gayā
ḳhalvat  meñ  jis  kī  narm-mizājī  thī  be-misāl
mahfil  meñ  be-sabab  vahī  mujh  se  akaḌ  gayā
bas  itnī  baat  thī  ki  ayādat  ko  aa.e  log
dil  ke  har  ek  zaḳhm  kā  Tāñkā  udhaḌ  gayā
kis  kis  ko  apne  ḳhūn-e-jigar  kā  hisāb  duuñ
ik  qatra  bach  rahā  hai  so  vo  bhī  nibaḌ  gayā
yāroñ  ne  ḳhuub  jā  ke  zamāne  se  sulh  kī
maiñ  aisā  bad-dimāġh  yahāñ  bhī  bichhaḌ  gayā
kotāhiyoñ  kī  apnī  maiñ  tāvīl  kyā  karūñ
merā  har  ek  khel  mujhī  se  bigaḌ  gayā
ab  kyā  batā.eñ  kyā  thā  ḳhayāloñ  ke  shahr  meñ
basne  se  pahle  vaqt  ke  hāthoñ  ujaḌ  gayā