koī  tum  jaisā  thā  aisā  hī  koī  chehrā  thā
yaad  aatā  hai  ki  ik  ḳhvāb  kabhī  dekhā  thā
raat  jab  der  talak  chāñd  nahīñ  niklā  thā
merī  hī  tarah  se  saaya  bhī  mirā  tanhā  thā
jaane  kyā  soch  ke  tum  ne  mirā  dil  pher  diyā
mere  pyāre  isī  miTTī  meñ  mirā  sonā  thā
vo  bhī  kam-baḳht  zamāne  kī  havā  le  ke  ga.ī
merī  āñkhoñ  meñ  mirī  mai  kā  jo  ik  qatra  thā
tū  na  jaagā  magar  ai  dil  tire  darvāze  par
aisā  lagtā  hai  koī  pichhle  pahar  aayā  thā
terī  dīvār  kā  saaya  na  ḳhafā  ho  mujh  se
raah  chalte  yūñhī  kuchh  der  ko  aa  baiThā  thā
ai  shab-e-ġham  mujhe  ḳhvāboñ  meñ  sahī  dikhlā  de
merā  sūraj  tirī  vaadī  meñ  kahīñ  Duubā  thā
ik  mirī  aañkh  hī  shabnam  se  sharābor  rahī
sub.h  ko  varna  har  ik  phuul  kā  muñh  sūkhā  thā
tum  zarā  thaam  lo  aa  kar  kabhī  paimāna-e-jāñ
dekho  dekho  mire  hāthoñ  se  abhī  chhūTā  thā