har  ghaḌī  umr-e-faromāya  kī  qīmat  māñge
mujh  se  ā.īna  mirā  merī  hī  sūrat  māñge
duur  rah  kar  hī  jo  āñkhoñ  ko  bhale  lagte  haiñ
dil-e-dīvāna  magar  un  kī  hī  qurbat  māñge
pūchhte  kyā  ho  in  āñkhoñ  kī  udāsī  kā  sabab
ḳhvāb  jo  dekhe  vo  ḳhvāboñ  kī  haqīqat  māñge
apne  dāman  meñ  chhupā  le  mire  ashkoñ  ke  charāġh
aur  kyā  tujh  se  koī  ai  shab-e-furqat  māñge
vo  nigah  kahtī  hai  baiThe  raho  mahfil  meñ  abhī
dil  kī  āshuftagī  uThne  kī  ijāzat  māñge
zahr  pī  kar  bhī  jiyūñ  maiñ  ye  alag  baat  magar
zindagī  us  lab-e-rañgīñ  kī  halāvat  māñge
zeb  dete  nahīñ  ye  turra-o-dastār  mujhe
merī  shorīda-sarī  sañg-e-malāmat  māñge