hazār  tarah  se  gardish  meñ  āftāb  rahā
nigāh-e-nāz  kā  lekin  kahāñ  javāb  rahā
vo  aa  ga.e  haiñ  to  ab  chhoḌo  is  fasāne  ko
kahāñ  kahāñ  maiñ  phirā  kis  tarah  ḳharāb  rahā
sunā  rahā  huuñ  unheñ  jhūT-mūT  ik  qissa
ki  ek  shaḳhs  mohabbat  meñ  kāmyāb  rahā
agarche  aur  bhī  fitne  uThe  qayāmat  ke
tirā  shabāb  hī  aalam  meñ  intiḳhāb  rahā
rah-e-hayāt  meñ  ham  chāk-e-dil  se  dekheñge
jahāñ  jahāñ  bhī  ruḳh-e-dahr  par  naqāb  rahā