bas  ki  pābandi-e-ā.īn-e-vafā  ham  se  huī
ye  agar  koī  ḳhatā  hai  to  ḳhatā  ham  se  huī
zindagī  tere  liye  sab  ko  ḳhafā  ham  ne  kiyā
apnī  qismat  hai  ki  ab  tū  bhī  ḳhafā  ham  se  huī
raat  bhar  chain  se  sone  nahīñ  detī  ham  ko
itnī  māyūs  tirī  zulf-e-rasā  ham  se  huī
sar  uThāne  kā  bhalā  aur  kise  yaarā  thā
bas  tire  shahr  meñ  ye  rasm  adā  ham  se  huī
bār-hā  dast-e-sitam-gar  ko  qalam  ham  ne  kiyā
bār-hā  chaak  añdhere  kī  qabā  ham  se  huī
ham  ne  utne  hī  sar-e-rāh  jalā.e  haiñ  charāg
jitnī  bargashta  zamāne  kī  havā  ham  se  huī
bār-e-hastī  to  uThā  uTh  na  sakā  dast-e-savāl
marte  marte  na  kabhī  koī  duā  ham  se  huī
kuchh  dinoñ  saath  lagī  thī  hameñ  tanhā  pā  kar
kitnī  sharminda  magar  mauj-e-balā  ham  se  huī