ham  ahl-e-ġham  bhī  rakhte  haiñ  jādū-bayāniyāñ
ye  aur  baat  hai  ki  sunīñ  lan-tarāniyāñ
sharminda  kar  na  mujh  ko  mirā  haal  pūchh  kar
le  de  ke  rah  ga.ī  haiñ  yahī  be-zabāniyāñ
kam  kyā  thā  ham  faqīroñ  ko  āshob-e-rozgār
kyuuñ  yaad  aa  rahī  haiñ  tirī  mehrbāniyāñ
dāman  ke  chaak  chaak  meñ  hai  mausam-e-bahār
aao  ki  ḳhūn-e-dil  se  kareñ  guf-fishāniyāñ
ahl-e-zamāna  tum  bhī  baḌe  vaqt  par  mile
kuchh  baar  ho  chalī  thiiñ  mirī  shādmāniyāñ
tum  ne  bhulā  diyā  to  na.ī  baat  kyā  huī
rahtī  haiñ  yaad  kis  ko  vafā  kī  kahāniyāñ
jī  khol  kar  luTā.eñge  ab  terī  raah  meñ
tere  balā-kashoñ  ko  milī  haiñ  javāniyāñ
rakh  lo  ki  zindagī  meñ  kabhī  kaam  ā.eñgī
dīvāngān-e-ishq  kī  bhī  kuchh  nishāniyāñ