maiñ  der  se  dhuup  meñ  khaḌā  huuñ
saaya  saaya  pukārtā  huuñ
sonā  huuñ  kured  kar  to  dekho
miTTī  meñ  dabā  huā  paḌā  huuñ
le  mujh  ko  sambhāl  gardish-e-vaqt
TuuTā  huā  terā  ā.īna  huuñ
yuuñ  rabt  to  hai  nashāt  se  bhī
dar-asal  maiñ  ġham  se  āshnā  huuñ
sohbat  meñ  guloñ  kī  maiñ  bhī  rah  kar
kāñToñ  kī  zabāñ  samajh  gayā  huuñ
dushman  ho  koī  ki  dost  merā
har  ek  ke  haq  meñ  maiñ  duā  huuñ
kyuuñ  āb-e-hayāt  ko  maiñ  tarsūñ
maiñ  zahr-e-hayāt  pī  chukā  huuñ
taqdīr-e-junūñ  pe  chup  rahā  maiñ
ta.abīr-e-junūñ  pe  ro  rahā  huuñ
har  ahd  ke  log  mujh  se  nā-ḳhush
har  ahd  meñ  ḳhvāb  dekhtā  huuñ