sharāb  Dhaltī  hai  shīshe  meñ  phuul  khilte  haiñ
chale  bhī  aao  ki  ab  donoñ  vaqt  milte  haiñ
jo  ho  sake  to  gale  mil  ke  ro  le  ai  ġham-ḳhvār
ki  āñsuoñ  hī  se  dāman  ke  chaak  silte  haiñ
ye  aur  baat  kahānī  sī  koī  ban  jaa.e
harīm-e-nāz  ke  parde  havā  se  hilte  haiñ
mire  lahū  se  mo.attar  tire  laboñ  ke  gulāb
tirī  vafā  se  kañval  mere  dil  ke  khilte  haiñ
dhaḌak  rahā  hai  masarrat  se  kā.enāt  kā  dil
kabhī  ke  bichhḌe  hue  dost  aaj  milte  haiñ