ham  bāñsurī  par  maut  kī  gaate  rahe  naġhma  tirā
ai  zindagī  ai  zindagī  rutba  rahe  baalā  tirā
apnā  muqaddar  thā  yahī  ai  mamba-e-āsūdgī
bas  tishnagī  bas  tishnagī  go  paas  thā  dariyā  tirā
is  gaam  se  us  gaam  tak  zanjīr-e-ġham  ke  fāsle
manzil  to  kyā  ham  ko  mile,  chaltā  rahe  rastā  tirā
tū  kaun  thā  kyā  naam  thā  tujh  se  hameñ  kyā  kaam  thā
hai  parda-e-dil  par  abhī  dhundlā  sā  ik  chehra  tirā
sūraj  hai  go  nā-mehrbāñ  hai  sar  pe  niilā  sā.ebāñ
ai  āsmāñ  ai  āsmāñ  daa.im  rahe  saaya  tirā